Esse letra de Ghulam Ali já foi acessado por 123 pessoas.
gairon se ab suna karo nagmein bahaar ke
ham to chale mataa-e-dil-o-jaan haar ke
baad-e-sahar ne jab tere aane ki di navid
murjhaaye phuul khil uthe mere mazaar ke
aksar usi pe ja ke giri bark-e-be-amaan
turage buland ho gaye jis shaakasaar ke
jalane ko dil to de diya dil ko zabaan na di
dekhe hain hamane hausale parawaradigaar ke
suuraj ki dhuup bhi inhein shaayad hi dho sake
jo haashiye ufaq pe hain dard-o-gubaar ke
Para enviar você precisa efetuar um cadastro gratuito no site. Caso já tenha um cadastro, acesse aqui.
Acesse agora, navegue e crie sua listas de favoritos.
Entrar com facebook Criar uma conta gratuita
Comentários (0) Postar um Comentário